Best Ahmad Faraz Shayari

Best Ahmad Faraz Shayari available in Hindi, Urdu and Roman scripts. He was one of the great urdu shayari, Enjoy Ahmad Faraz shayari hindi status for whatsapp, facebook and instagram. Enjoy Ahmad Faraz sad shayari, mir shayari in urdu. List of Top 20 famous Urdu Sher of Ahmad Faraz selected by Lovers. Ahmad Faraz was an 19th-century poet from Pakistan.

Ahmad Faraz Shayari in Hindi and Urdu

Kisi bewafa ki khaatir ye janoon Faraz kab tak
Jo tumhen bhula chuka hai usy tum b bhool jao
__________________________

Abhi to jaag rahe hain charagh raahon k
Abhi hai door saher thodi door saath chalo
__________________________

Hansi khushi se bichar ja agr bicharna hai
Yeh har muqaam pe kya sochta hai akhir tu
__________________________

Zabt laazim hai magar dukh hai qayamat ka Faraz
Zaalim ab k bhi na roye ga tou mar jaye ga

__________________________

Dil bhi pagal hai k us shakhs se wabsta ha
Jo kisi aur ka hone de na apna rakhe
__________________________

Dost ban kar bhi nahi saath nibhane wala
Wohi andaaz hai zaalim ka zamane wala
__________________________

Woh waqat aa gya hai k saahil ko chor kar
Gehray sumandron main utar jana chahie
__________________________

Magar kisi ne hamen hum-safar nahi jaana
Yeh aur baat hai k hum saath saath sab k gaye

Ahmed Faraz Shayari in Urdu

Hum ne tark e taluq main pehal ki k faraz
Wo chahta tha magar hosla na tha uska
__________________________

Mujh ko khud apne aap se sharmindgi hoi
Woh is tarah k tujh pe bharosa bala k tha
__________________________

Hum apne dil se hain majboor aur logon ko
Zara c baat par barpa qayamten karni hai
__________________________

Hua hai tujh se bicharne k baad ye maloom
K tu nahi tha teray saath ek duniya thi
__________________________

Is se pehle k bewafa ho jayen
Kyun na ay dost hum juda ho jayen
__________________________

Jab bhi dil khol k roye hun ge
Log aaram se soye hun ge
__________________________

Ab k hum bichare to shyd kabhi khawabon main milen
Jis tarah sukhe howe phool kitaabon main milen