Best Gulzar Shayari

Best Gulzar Shayari available in Hindi, Urdu and Roman scripts. He was one of the great urdu and hindi shayari, Enjoy Gulzar shayari hindi status for whatsapp, facebook and instagram. Enjoy Gulzar sad shayari, mir shayari in urdu. List of Top 10 famous Hindi Sher of Gulzar from bollywood films selected by Lovers. Gulzar is a hindi bollywood lyrics writer.

Gulzar Shayari in Hindi and Urdu language

Aina dekh ke tasalli hui
Hum ko is ghar mein jaanta hai koi

Pak gaya hai shazar pe phal shayad
Phir se patthar uchhalta hai koi

——————————————————–

Shahad jine ka mila karta hai thoda thoda
Jaane walo ke liye dil nahi toda karte

——————————————————–

Wo khat ke purze uda raha tha
Hawaon ka rukh dikha raha tha

——————————————————–

Qadam usi mod par jame hain
Nazar samete huye khada hu
Junoon ye majboor kar raha hai palat ke dekhu
Khudi ye kehti hai mod mud ja
Agarche ehsaas keh raha hai
Khule dariche ke piche do aankhein jhaankti hain
Abhi mere intazaar mein wo bhi jaagti hai
Kahin to us ke gosha-e-dil mein dard hoga
Use ye zid hai ki main pukaaru
Mujhe taqaza hai wo bula le
Qadam usi mod par jame hain
Nazar samete huye khada hu

——————————————————–

Lakeerein hain, to rehne do
Kisi ne rooth kar gusse mein shaayad khainch di thi..
inhi ko ab banao paala,
aur aao, kabbadi khelte hain
Lakeeren hain, to rehne do..

——————————————————–

Aadatan tumne kar diye waade

Aadatan humne aetbaar kiya

Bar-ra-ha rahoon me rukkar

Humne apna hi intezaar kiya

——————————————————–

Main rozgaar ke seakhabaarile mein,
kabhi kabhi uss ke shehar jaata hun toh,
guzarta hun uss gali se..
woh neem-taariq si gali !
aur ussi ke nukkad pe unghta sa purana khambha!
ussi ke neeche tamaam shab intezaar kar ke,
main chhod aaya tha shehar uss ka..
bahut hi khasta si roshni ki chhadi ko teke,
woh khambha ab bhi wahin khada hai.!

——————————————————–

Futoor hai ye! magar,
main khambhe ke paas ja kar..
nazar bacha kar mohalle walon ki,
poochh leta hun aaj bhi ye..
woh mere jaane ke bad bhi,
aayi toh nahin thi?
woh aayi thi kya.??

Tum gaye toh kuch nahi hua, dil se aetbaar uth gaya mera…

Sehma Sehma daraa sa rehta hai, jaane kyun jee bhara sa rehta hai…