Best Mir Taqi Mir Shayari

Best Mir Taqi Mir Shayari available in Hindi, Urdu and Roman scripts. He was one of the great urdu shayari, Enjoy Mir Taqi Mir shayari hindi status for whatsapp, facebook and instagram. Enjoy Mir Taqi Mir sad shayari, mir shayari in urdu. List of Top 20 famous Urdu Sher of Meer Taqi Meer selected by Lovers. Mir Taqi Mir was an 18th-century poet in Mughal India.

Mir Taqi Mir Shayari in Hindi and Urdu language

Hoga kisi deewar k saaye main para Mir
Kya kaam mohabbat se us aram talab ko
_____________________________

Rotay phirtay hain sari saari raat
Ab yahi rozgaar hai apna
_____________________________

Wo tujh ko bhulay hain tou tujh pe bhi laazim hai Meer
Khaak daal, aag laga, naam na le, yaad na kar
_____________________________

Ulti ho gayin sab tadbeerain kuch na dawa ne kaam kia
Dekha is bemari-e-dil ne akhir kaam tamam kia
_____________________________

Ibtida-e-ishq hai rota hai kya
aagy aagy dekhiye hota hai kya

_____________________________

Wasal ke din ki aarzo hi rahi
Shab na akhir hui judai ki

_____________________________

Ay jhoot aaj shehar main tera hi dour hai
shewa yahi sabhon ka yahi sab ka tor hai
_____________________________

Be yaar shehar dil ka weeran ho raha hai
Dikhlai de jahan tak maidan ho raha hai
_____________________________

Kahen kya jo pooche koi ham se Mir
Jahan main tum aaye thy kya kar chalay
_____________________________

Ab kar ke faramosh tou naa-shaad karo ge
Par hum jo na hoonge tou bohat yaad karo ge

_____________________________

Bar baar us k dar pe jaata hoon
Halat ab iztarab ki si hai
_____________________________

Ishq ek Mir bhaari pathar hai
Kab ye tujh natawan se uthta hai
_____________________________

Us k aifay ehad tak na jeeye
Umar ne hum se bewafai ki
_____________________________

Hum ne apni si ki bohat lekin
Marz-e-ishq ka ilaaj nahi
_____________________________

Imkaan nahi jeetay jee ho qaid se azaad
Mar jaaye tabhi chootay griftar-e-mohabbat