Best Nasir Kazmi Shayari

Check some of Best Nasir Kazmi Shayari available in Hindi, Urdu and Roman scripts. He was one of the great urdu shayari, Enjoy Nasir Kazmi shayari hindi status for whatsapp, facebook and instagram. Enjoy Nasir Kazmi sad shayari, Nasir bhai ki shayari in urdu. List of Top 20 famous Urdu Sher of Nasir Kazmi selected by Lovers.

Nasir Kazmi Shayari in Hindi and Urdu language

Kal jo tha woh aaj nahi jo aaj hai kal mit jaye ga
Rookhi sookhi jo mil jaye shukar karo to behtar hai
____________________________

Aaj dekha hai tujh ko dair k baad
Aaj ka din guzar na jaye kahin
____________________________

Dekh Nasir zamane main koi kisi ka nahi
Bhool ja us ke qol o qasam sabr kar sabr kar
____________________________

Aarzo hai k tu yahan aye
Aur phir umar bhar na jaye kahin
____________________________

Juda howe hain bohat log ek tum bhi sahi
Ab itni baat pe kya zindagi haram kare

Pehle tou main cheekh k roya aur phir hansne laga
Badal garja bijli chamki tum yaad aye
____________________________

Woh koi dost tha ache dino ka
Jo pichli raat se yaad aa raha hai
____________________________

Nasir Kazmi Shayari in Urdu

Har koi apne ghum main hai masroof
Kis ko dard aashna kahe koi
____________________________

Din bhar tou main duniya k dhandon main khoya raha
Jab deewaron se dhoop dhali tum yaad aye
____________________________

Tanhai ko kaise choron!
Barson main ek yaar mila hai

Pukarti hain furstain kahan gayin wo sohbtain
Zameen nighal gai unhen k aasman kha gya
____________________________

Guzar gaye hain jo khushboo-e-raigan ki tarah
Wo chand roz meri zindagi ka hasil thy
____________________________

Ay dost hm ne tark-e-mohabbat k bawjood
Mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi
____________________________

Phir uski yaad main dil beqarar hai nasir
Bichar ke jis se hoi shehar shehar ruswai
____________________________

Hum bhala chup rehne wale thy kahin
Han magar haalat aise ho gye

*****************************