Best Parveen Shakir Shayari

Best Parveen Shakir Shayari available in Hindi, Urdu and Roman scripts. He was one of the great urdu shayari, Enjoy Parveen Shakir shayari hindi status for whatsapp, facebook and instagram. Enjoy Parveen Shakir sad shayari, parveen mohtrma ki shayari in urdu. List of Top 20 famous Urdu Sher of Parveen Shakir selected by Lovers. She was born on 25 November and died on 26 Dec 1994. She was honored with Pride of Performance award for her incredible contribution to Urdu literature.

Parveen Shakir Shayari in Hindi and Urdu language

Nam Hai Palkain Teri Ae Moj-e Hawa Raat Ke Saath
Kia Tuje Bi Koi Yad Aata Hai Barsat Ke Sath

Jab Se Parwaaz Ke Shareek Miley
Ghar Bananay Ki Arzoo Hai Bohat

Shehr Ko Teri Justaju Hai Bohat
In Dino Ham Pey Guftagu Hai Bohat

Saba To Kya Ke Mujhe Dhoop Tak Jaga Nah Saki
Kahan Ki Neend Utar Aayi Hai In Aankhon Mein

Be Faiz Rfaqat Mai Smar Kis Ke Liye Tha
Jab Dhob Thi Qismat Tu Shjar Kis Ke Liye Tha
Pardes Mai Sona Tha Tu Chat Kis Liye Dali
Bahar Hi Niklna Tha Tu Ghar Kis Ke Liye Tha
Jis Khak Se Phota Hai Use Khak Ki Khushbu
Pehchan Na Pya Tu Hunr Kis Ke Liye Tha
Ae Madr-e Geti Teri Hairat Bi Bja Hai
Teri Hi Kam Na Aya Tu Sir, Kis Ke Liye Tha
Yun Sham Ki Dehshat Mai Sar-e Dasht Iradah
Rukna Tha Tu Phir Sara Safar Kis Ke Liye Tha

इक नाम क्या लिखा तिरा साहिल की रेत पर
फिर उम्र भर हवा से मेरी दुश्मनी रही

-परवीन शाकिर

Ik Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Ret Par

Phir Umr Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi

-Parveen Shakir

क़दमों में भी तकान थी घर भी क़रीब था
पर क्या करें कि अब के सफ़र ही अजीब था

Kadmo Me Bhi Thakaan Thi Ghar Bhi Kareeb Tha

Par Kya Kare Ki Ab Ke Safar Hi Ajeeb Tha