Best Mirza Ghalib Shayari

Best Mirza Ghalib Shayari available in Hindi, Urdu and Roman scripts. He was one of the great urdu shayari, Enjoy mirza ghalib shayari hindi status for whatsapp, facebook and instagram. Enjoy mirza ghalib sad shayari, ghalib shayari in urdu.

Mirza Ghalib Shayari in Hindi and Urdu language

Gunchay-e-nashagufta ko door se mat dikha ke yun
Bosah ko poochta hun mein munh se mujhe bata ke yun

Maine kaha ke bazm-e-naaz ghair se chahiye tahin
Sun ke sitam zareef ne mujh ko utha diya ke yun

Aah ko chahiye ek umr asar hone tak
Kon jeeta hai Teri zulf ke sar hone tak

Aashiqi sabr talab aur tamanna betaab
Dil Ka kya rang karun khonn-e-jigar hone tak

Hamne mana ke taghaful na karoge lekin
Khaak hojayenge ham tum ko khabar hone tak

Khat likhenge garche Matlab kuch na ho
Ham to aashiq hain tmhare naam ke

Ishq ne Ghalib’ nikamma kar diya
Warna ham bhi aadmi the kaam ke

Hazaron khwahishein aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bahut nikle mere Arman lekin phir bhi kam nikle

Nikalna khuld se aadam ke sunte aaye hain lekin
Bahut be aabru hokar tere kooche se ham nikle

Aa’ina kyun na dun ke tamasha kahein jise
Aisa kahan se laun ke tujh SA kahein jise

Ghalib’ bura na Maan Jo waiz bura kahe!!
Aisa bhi hai koi ke sab achcha kahein jise

dil-e-nadaan tujhe hua kya hai
aakhir is dard ki dawa kya hai
hum hai mushtaq aur wo bejaar
ya elaahi ye mazra kya hai…

hum ko unse wafa ki hai ummeed
jo nahin jante wafa kya hai…

hum bhi munh men zubaan rakhte hain
kaash puchho ki muddwa kya hai..

jaan tum par nisar karta hun
main nahin janta dua kya hai..

ye na thi hamari qismat ke wisal-e-yaar hota
agar aur jeete hote yahi intzaar hota..

tere wade pe jo jeete, to ye jaan jhooth jana
ke khushi se mar na jate, gar aitbar hota..

koyi mere dil se puchhe tere teer-e-neemkash ko
wo khalis kahan se hoti, jo jigar ke paar hota..

hue mar ke hum jo ruswa, huye kyon na gark-e-dariya
na kabhi zanaja uthta, na kahin mazaar hota..

aah ko chahiye ek umra asar hone tak
kaun jeeeta hai teri zulfon ke sar hone tak..

aashiqi sabra-talab aur tamanna betaab
dil ka kya rang karun khoon-e-jigar hone tak..

ye to mana ke tagaful na karoge lekin
khaak ho jayenge hum, tumko khabar hone tak..

rahiye ab aisi jagah chal kar, jahan koyi na ho
hum-sukhan koyi na ho aur hum-zubaan koyi na ho

bedar-o-deewar ka ek ghar banaya chahiye
hum-safar koyi na ho aur paasbaan koyi na ho

padiye gar beemar to koyi na ho teemardaar
aur gar mar jaiye to nauhekhwan koyi na ho…

..hua hai Shah ka muhasib, fire hai itraata
wagarna shahar men Ghalib ki aabroo kya hai..

..Asad khushi se mere haath-paanv phool gaye
kaha jo usne jara mere paanv daab to de..

..qasid ko apne haath se gardan na mariye
uski khata nahin ye mera qasur tha..

..hai khabar garma unke aane ki
aaj hi ghar men boriya na hua…

..ug raha hai dar-o-deewar se sabza Ghalib
hum bayabaan men hain aur ghar men bahar aayi hai..

..hain aur bhi duniya men sukhanwar bahut acchhe

kahte hain ke Ghalib ka hai andaaz-e-bayaan aur…..